Wednesday, June 28, 2006

Dard-e-dil-001



tumhe ye jid ki hum bulaye...
humee ye umeed tum pukaaro...


kuch geet to duniya ki khatir,
sur taal me gaaye jaate hain..
kuch geet magar tanhaai men,
khud ko hi sunaayee jaate hai...


mumkin nehin ulfat main,
har ghum ka kare charcha jag se...

kuch dard bataaye jaate hain,
kuch dard chuupaayen jaatehain..

is raahen bafa men aye hum dum,
ek aisa mukaam bhi aata hai..
hans hans ke kiya hai yaad jinhe,
ro ro ke bhulaye jaate hain..



hum bhul chuke un baato ko
un riston ko un naaton ko
kyun jikr unhin kaa kar kar ke,
yun log sataaye jaate hain...

Sakh se gir jaayen wo patte nehin hum...
andhiyon se kehdo sambhal ke chalen...


bahat naaj hai unko unki nakaamio par abhi dekhi kahan hai nakamiyaa hamaari....

Dekho Zamane Ke Rang Main, Kya Hai Bhulaa Do Mujhe,Mujh Mein Kya Hai. Ujaalaa Chaandani Raaton Ka Dekho Siwaye Andheron Ke Mujh Main Kya Hai.


Nahin Mil Sakti Jinhe Kabhi Haqeeqat Asie Mere Khvaabon Mein Kya Hai
Arman Fana Nazar Viran, Dil Jala Hai Kuredti Ho Mujhe, Ab Rakh Main Kya Hai.


Khushi Ke Liye Sab Kuch Bhula Deta Hai Yadon Ka Kafan Pahan ne Main Kya Hai
Tumhaari Mehfil Main Chand Sitare Hai Es Nakaam Shayar Main Kya Hai


~~Tasveer~~

Mujse mat pooch ki kyun aankh jhuka li maine,
teri tasaveer thi jo tujhase chupa li maine,
jis pe likha tha ki tu mere muqaddar mein nahi, apne maathe ki woh tehareer mita li meine,


har janm sabko yahaan sachha pyaar kahaan milta hai,
teri chaahat mein to umr bita li meine,
mujhko jaane kahaan ehsaas mere le jaayein,
waqt ke haathon se ek nazm utha li meine,

ghere rehti hai mujhe ek anokhi khushbu,
teri yaadon se har ek saans saja li meine,
jiske sheron ko woh sunke bahut roya tha, bas wohi ek ghazal sabse chupa li meine.

~~Zindagi~~

lamha lamha zindagi ka battor raha hai
bikhri hui duniya ko battor raha hai

khwab jo kabhi pure nahi ho sakte
aaj un tute khawab ko jor raha hai

geeli aankhon ke behte paani se
apne hi daman ko kar sharabor raha hai

Kitne hi rahon pe phoolon pe chal
aaj kaaton se muh mor raha hai

Kalam ki siayi khatam hone par
katre ke lie dil nichor raha hai

kambakhat kuch hi pal ki to hai aaj maut ko kyon kar dar raha hai

Aabh bhi jiska khoon naa khola khoon nahivho paani hai! jho desh kae khaam na aayae vho bekaarjavani hai!

more more more